Ab ye sochon tu bhanwar zehen mein parr jatay hain
Ab ye sochon tu bhanwar zehen mein parr jatay hain
kaisy chehry hain jo miltay hain bichar jatay hain
q tere dard ko dein tuhmat weerani-e-dil ?
zalzalon mein tu bhary shehr ujarr jatay hain
mausam-e-zard mein ek dil ko bachaon kaisy ?
aisi rut mein tu ghanay pairr bhi jharr jatay hain
ab koi kia mere qadmon ki nishani dhonday ga?
tez aandhi mein tu khaimay bhi ukharr jatay hain
shughl-e-arbaab-hunar pochtay kia ho k ye log?
pathron mein bhi kabhi aainay jarr jatay hain
soch ka aaina dhundla ho tu phr waqt k sath?
chaand chehron k khadukhal bigharr jatay hain
shidat-e-gham mein bhi zinda hon tu hairat kaisi?
kch diye tund hawaon se bhi larr jatay hain
wo bhi kia log hai MOHSIN jo wafa ki khatir?
khud tarasheeda asoolon pe bhi arr jatay hain
Posted on December 17, 2013, in MOshin Naqvi Poetry Collection and tagged Freshwater, Koi, Pyro, Recreation. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0